charāġh-e-zindagī  hogā  farozāñ  ham  nahīñ  hoñge
chaman  meñ  aa.egī  fasl-e-bahārāñ  ham  nahīñ  hoñge
javāno  ab  tumhāre  haath  meñ  taqdīr-e-ālam  hai
tumhīñ  hoge  faroġh-e-bazm-e-imkāñ  ham  nahīñ  hoñge
jiyeñge  jo  vo  dekheñge  bahāreñ  zulf-e-jānāñ  kī
sañvāre  jā.eñge  gesu-e-daurāñ  ham  nahīñ  hoñge
hamāre  Dūbne  ke  baad  ubhreñge  na.e  taare
jabīn-e-dahr  par  chhaTkegī  afshāñ  ham  nahīñ  hoñge
na  thā  apnī  hī  qismat  meñ  tulū-e-mehr  kā  jalva
sahar  ho  jā.egī  shām-e-ġharībāñ  ham  nahīñ  hoñge
agar  maazī  munavvar  thā  kabhī  to  ham  na  the  hāzir
jo  mustaqbil  kabhī  hogā  daraḳhshāñ  ham  nahīñ  hoñge
hamāre  daur  meñ  Dālīñ  ḳhirad  ne  uljhaneñ  lākhoñ
junūñ  kī  mushkileñ  jab  hoñgī  āsāñ  ham  nahīñ  hoñge
kahīñ  ham  ko  dikhā  do  ik  kiran  hī  TimTimātī  sī
ki  jis  din  jagmagā.egā  shabistāñ  ham  nahīñ  hoñge
hamāre  baad  hī  ḳhūn-e-shahīdāñ  rañg  lā.egā
yahī  surḳhī  banegī  zeb-e-unvāñ  ham  nahīñ  hoñge