Farah Rizwi

mausam ka haal aankh ki khiDki bataegi

Farah Rizwi

Bahawal Nagar, Punjab, Pakistan

1973
mausam kā haal aañkh kī khiḌkī batā.egī
din Dhal gayā hai shaam kī surḳhī batā.egī
murjhā ga.e jo shāḳh-e-ajal par khile gulāb
ras uḌ gayā hai saañs kī titlī batā.egī
āñkhoñ pe e'tibār na kar fāsla to dekh
dariyā ke paar kyā hai ye kashtī batā.egī
dīvār par shabīh banāeñgī uñgliyāñ
kam raushnī fareb ko panchhī batā.egī
lā-hāsilī kī saan pe azaloñ ke mājare
sadiyoñ kī dāstān bhī chuTkī batā.egī
apnī hañsī ko haal kā paimāna kījiye
jitnī ḳhushī hai naap ke utnī batā.egī
Top Urdushayar.com