Sarfraz Zahid

jab taaruf se be-niyaz tha main

Sarfraz Zahid

jab ta.āruf se be-niyāz thā maiñ
koī zāhid na 'sarfarāz' thā maiñ
jab huā āshkār tab jaanā
apne baare meñ koī raaz thā maiñ
ab to sāñsoñ meñ bhī nahīñ tartīb
pahle vaqtoñ meñ nai-navāz thā maiñ
ai mirī intihā-e-barbādī
kis qadar mubtalā-e-nāz thā maiñ
sab ko qudarat thī ḳhush-kalāmī par
ḳhāmushī meñ zabāñ-darāz thā maiñ
bhuul jaatā hai ab duāoñ meñ
pahle jis ke liye namāz thā maiñ
Top Urdushayar.com