Sarfraz Zahid

KHwab mein manzar rah jata hai

Sarfraz Zahid

ḳhvāb meñ manzar rah jaatā hai
takiye par sar rah jaatā hai
aa paḌtī hai jhiil āñkhoñ meñ
haath meñ patthar rah jaatā hai
roz kisī hairat kā dhabba
ā.īne par rah jaatā hai
dil meñ basne vaalā ik din
jeb ke andar rah jaatā hai
nadiyā par milne kā va.ada
mez ke uupar rah jaatā hai
saal guzar jaatā hai saarā
aur calender rah jaatā hai
āñgan kī ḳhvāhish meñ koī
baam ke uupar rah jaatā hai
lag jaatī hai naav us paar
aur samundar rah jaatā hai
ruḳhsat hote hote koī
darvāze par rah jaatā hai
Top Urdushayar.com