Sarfraz Zahid

mil-jul kar iman KHuda par la sakte hain

Sarfraz Zahid

mil-jul kar īmān ḳhudā par sakte haiñ

ik jannat meñ bhuuk aur pyaas samā sakte haiñ

aap agar samjhā deñ ḳhāl-o-ḳhad manzar ke

ham apnī hairat naam batā sakte haiñ

mere khaliyānoñ se uThte aag ke sho.ale

jhoñke tere bāġhoñ tak phailā sakte haiñ

kamre ke dam ghuT jaane ḳhauf na ho to

ham apnī tanhā.ī ko dohrā sakte haiñ

niiñd uḌā sakte haiñ dushman ke lashkar

malika ke ḳhvāboñ se phuul churā sakte haiñ

aap agar palkoñ chaukhaT tak aa jaa.eñ

ham apnī tasvīr se bāhar aa sakte haiñ

lamha itnī gunjā.ish rakhtā hai ḳhud meñ

aap is meñ aane se pahle sakte haiñ

ham bechain khilaune ik din muuD meñ aa kar

jismoñ ke show-case se bāhar aa sakte haiñ

kar sakte haiñ dariyā ko ik misre meñ qaid

aur sahrā ko ghar raah dikhā sakte haiñ

palkoñ darzoñ se jhāñkne vaale ik din

ruḳhsāroñ par aa kar shor machā sakte haiñ

Top Urdushayar.com