Ahmad Mushtaq

kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kis raqs-e-jān-o-tan meñ mirā dil nahīñ rahā
go maiñ kisī julūs meñ shāmil nahīñ rahā
har chand terī ruuh kā mahram rahā huuñ maiñ
lekin tire badan se bhī ġhāfil nahīñ rahā
tujh se koī gila hai na terī vafā se hai
maiñ hī tire ḳhayāl ke qābil nahīñ rahā
bāhar chahak rahī ho ki andar mahak rahī
dil ab kisī bahār kā qaa.il nahīñ rahā
yaaro safīna-e-ġham-e-dil kā banegā kyā
lagtā hai ab kahīñ koī sāhil nahīñ rahā
Top Urdushayar.com