sub.h-dam  uTh  kar  tirā  pahlū  se  jaanā  yaad  hai
loTnā  dil  kā  jigar  kā  phaḌphaḌānā  yaad  hai
yaar  thā  pahlū  meñ  shīshe  kī  parī  thī  sāmne
kyuuñ  dil-e-nālāñ  tujhe  vo  bhī  zamāna  yaad  hai
sun  ke  ahvāl-e-mohabbat  ko  mirā  bolā  vo  shoḳh
jaan  dene  kā  tujhe  achchhā  bahāna  yaad  hai
loT  thā  dil  qāmat-e-dildār  par  muddat  huī
naḳhl-e-tūbā  par  thā  apnā  āshiyāna  yaad  hai
kaun  dekhe  ḳhanda-e-gul  kī  taraf  ai  andalīb
ek  muddat  se  kisī  kā  muskurānā  yaad  hai
kyā  dikhātā  hai  falak  abr-e-siyah  meñ  rū-e-māh
ham  ko  bāloñ  meñ  kisī  kā  muñh  chhupānā  yaad  hai
ho  muqābil  nāla-e-dard-e-dil-e-ushshāq  ke
bāġhbāñ  bulbul  ko  aisā  bhī  tarānā  yaad  hai
hijr  kī  shab  niiñd  aa.e  āshiq-e-bīmār  ko
'muntahī'  tujh  ko  koī  aisā  fasāna  yaad  hai