jaur-e-aflāk  bas-ki  jhele  haiñ
aise  pāpaḌ  bahut  se  bele  haiñ
gah  huzūrī  hai  gaah  hai  duurī
gah  akele  haiñ  gah  do-kele  haiñ
asp-e-tāzī  nazar  nahīñ  aate
so  khuroñ  se  bhare  tavele  haiñ
kahte  haiñ  yaañ  jise  qimār-e-ishq
khel  aise  bahut  se  khele  haiñ
jiite  haiñ  vo  qimār-e-ishq  meñ  yaar
jaan  par  apnī  jo  ki  khele  haiñ
Thahre  kab  jañg-e-husn  meñ  ye  shaiḳh
ek  muddat  ke  ye  bhagele  haiñ
paas  apne  duī  kā  naam  nahīñ
jab  se  paidā  hue  akele  haiñ
na  dikhānā  lahad  meñ  āñkheñ  nakīr
paas  apne  bhī  qul  ke  Dhele  haiñ
kufr-o-dīñ  kā  ho  faisla  kyūñkar
ek  muddat  ke  ye  manjhele  haiñ
dair-o-ka.aba  kī  bhīḌ-bhāḌ  hai  kyā
aise  dekhe  bahut  se  mele  haiñ
giriya-e-pur-asar  kī  shiddat  hai
saaf  āb-e-baqā  ke  rele  haiñ
bhejā  apnā  ḳhayāl  us  but  ne
jab  sunā  'muntahī'  akele  haiñ