mumkin  mujhe  jo  ho  be-riyā  ho
masnad  ho  ki  is  meñ  boriyā  ho
jab  qābil-e-dīd  dil-rubā  ho
allāh  kare  ki  bā-vafā  ho
be-tābi-e-dil  agar  dikhā.ūñ
koī  na  kisī  kā  mubtalā  ho
martā  hai  zar  pe  ahl-e-duniyā
nāmard  ko  kab  ḳhvāhish-e-tilā  ho
miTTī  kar  de  jo  aap  ko  to
nazroñ  meñ  ḳhaak  kīmiyā  ho
aa.ī  hai  fasl-e-gul  chaman  meñ
ai  hosh-o-ḳhirad  chalo  havā  ho
kyā  mujhe  dar-ba-dar  phirāyā
ai  ḳhvāhish-e-dil  tirā  burā  ho
dikhlā.ī  tū  ne  yaar  kī  shakl
ai  jazba-e-dil  tirā  bhalā  ho
lipTo  mujhe  aa  ke  hijr  kī  shab
ai  gesū-e-yār  agar  balā  ho
ai  'muntahī'  bazm-e-yār  kā  haal
kyā  jāniye  ba.ad  mere  kyā  ho