karte  haiñ  chain  baiThe  husn-o-jamāl  vaale
phirte  haiñ  maare  maare  kyā  kyā  kamāl  vaale
merī  tarah  se  ek  din  bāzār  se  jahāñ  ke
jāveñge  haath  ḳhālī  jitne  haiñ  taal  vaale
dam  de  ke  phāñstā  hai  ushshāq  ke  dinoñ  ko
maiñ  jāntā  huuñ  tujh  ko  zulfoñ  ke  jaal  vaale
mahshar  kā  ma.arka  ho  jis  dam  jahāñ  ke  andar
us  din  hameñ  bachānā  o  lambī  Dhaal  vaale
bulbul  haiñ  tere  ham  bhī  bāġh-e-jahāñ  ke  andar
o  gul  se  gaal  vaale  sumbul  se  baal  vaale
tanhā  lahad  ke  andar  hoñge  gadā  kī  sūrat
jitne  haiñ  is  jahāñ  meñ  jāh-o-jalāl  vaale
zulf-e-shab-e-judā.ī  terī  burī  balā  hai
is  kā  ḳhayāl  rakhnā  o  lambe  baal  vaale
āshiq  haiñ  ham  bhī  tere  abrū  ke  aur  ruḳh  ke
ham  ko  bhī  yaad  rakhnā  badr-o-hilāl  vaale
bhūle  haiñ  do-jahāñ  ko  sud-bud  nahīñ  kisī  kī
jo  jo  haiñ  is  jahāñ  meñ  tere  ḳhayāl  vaale
sayyād  ne  bichhāyā  gulshan  meñ  dām-o-dāna
sun  gul-ezār  vaale  o  ḳhatt-o-ḳhāl  vaale
merī  tarah  se  ik  din  bāzār  se  jahāñ  ke
jā.eñge  haath  ḳhālī  jitne  haiñ  maal  vaale
mansūr-o-qais-o-vāmiq  farhād-o-'muntahī'  se
kyā  kyā  ga.e  jahāñ  se  fazl-o-kamāl  vaale