ye  jis  ne  jaan  dī  hai  naan  degā
diyā  hai  jis  ne  sar  sāmān  degā
mizha  se  us  kamāñ-abrū  kī  bachnā
vo  nāvak  hai  kaleja  chhān  degā
mashaqqat  se  vo  de  yā  be-mashaqqat
ba-har-sūrat  ba-har-unvān  degā
vo  bosa  de  ke  dil  le  kar  ye  bole
evaz  ehsāñ  kā  kyā  insān  degā
milegā  qadr-dān-e-ishq  ham  ko
ḳhudā  ma.ashūq  bā.īmān  degā
suneñge  tab  butān-e-hind  apnī
ijāzat  jab  unheñ  shaitān  degā
fasāna  kohkan  kā  sun  ke  bole
jo  āshiq  hogā  vo  hī  jaan  degā
na  thī  ummīd  tujh  se  qāsim  baḳht
dil-e-pur-dard  o  pur-armān  degā
rah-e-ulfat  kā  huuñ  kār-āzmūda
kisī  ko  dil  koī  anjān  degā
chalegā  tiir  jab  apnī  duā  kā
kaleje  dushmanoñ  ke  chhān  degā
muqaddar  se  zyāda  ek  luqma
gadā  kyā  legā  kyā  sultān  degā
lipaT  jā.ūñgā  un  se  roz-e-vaslat
agar  mujh  ko  ḳhudā  ausān  degā
na  phailā  'muntahī'  dast-e-havas  ko
vagarna  ye  tujhe  nuqsān  degā