rah  ga.e  ashkoñ  meñ  laḳht-e-jigar  aate  aate
ruk  ga.e  bahr  se  la.al-o-gohar  aate  aate
tham  ga.e  qatra-e-ḳhūn-e-jigar  aate  aate
ruk  ga.e  mujmar-e-dil  se  sharar  aate  aate
hote  hote  na  huā  misra-e-rañgīñ  mauzūñ
band  kyuuñ  ho  gayā  ḳhūn-e-jigar  aate  aate
tham  ga.e  ashk  mire  aañkh  se  Dhalte  Dhalte
rah  ga.e  chashm-e-sadaf  se  guhar  aate  aate
rah  gayā  kahne  pe  ġhammāzoñ  ke  sun  sun  ke  mirī
phir  gayā  yaar  mirā  raah  par  aate  aate
de  diyā  naqd-e-dil  us  but  ko  baġhair  az  jaane
ho  gayā  raah  meñ  kaisā  zarar  aate  aate
dekhte  dekhte  dekheñge  mire  jauhar-e-tab.a
ā.eñge  ā.eñge  ahl-e-nazar  aate  aate
kyā  bharā  zañg-e-kudūrat  se  ye  ā.īna-dil
jo  nazar  aa.e  na  vo  phir  nazar  aate  aate
gardish-e-chashm  ne  kis  ko  tah-o-bālā  na  kiyā
ho  ga.e  zer-o-zabar  raah  par  aate  aate
ashk-e-ḳhūnī  nahīñ  aate  haiñ  jo  āñkhoñ  se  tirī
kyuuñ  rukī  'muntahī'  dil  kī  ḳhabar  aate  aate