sar-sar  gesū  hilā  rahī  hai
sar  par  kaale  khilā  rahī  hai
furqat  meñ  ḳhuuñ  rulā  rahī  hai
taqdīr  ye  rañg  lā  rahī  hai
dāġhoñ  se  dil  jalā  rahī  hai
ulfat  sikke  biThā  rahī  hai
dāman  meñ  hai  tere  bū-e-kākul
kyuuñ  mujh  ko  sabā  uḌā  rahī  hai
hāl-e-tap-e-hijr  kuchh  na  pūchho
dil  khā  chukī  jaan  khā  rahī  hai
jhelī  huī  hai  jafā  tabī.at
barsoñ  hī  mubtalā  rahī  hai
kisrā  mahal  na  tāq-e-jam  hai
ai  dil  kis  kī  sadā  rahī  hai
martā  hai  dil  butoñ  ke  uupar
taqdīr  pahāḌ  Dhā  rahī  hai
tiflī-o-javānī  ḳhuub  guzrī
do  din  achchhī  havā  rahī  hai
uḌtī  hai  ḳhaak  us  jagah  par
barsoñ  jis  jā  fazā  rahī  hai
ye  bint-e-inab  bahār-e-gul  meñ
yāroñ  kī  bhī  āshnā  rahī  hai
laatī  nahīñ  bū-e-yār  nig.hat
us  dil  kī  lagī  bujhā  rahī  hai
ham  bhī  the  kabhī  javān  rā.anā
apnī  bhī  kabhī  havā  rahī  hai
khultā  nahīñ  haal  gul  kā  bulbul
shabnam  paanī  chuā  rahī  hai
ye  fasl-e-bahār  be-ḳhudī  kā
rasta  ham  ko  batā  rahī  hai
gulshan  meñ  urūs-e-gul  ke  uupar
shabnam  motī  luTā  rahī  hai
phūle  nahīñ  gul  chaman  ke  andar
vahshat  āñkheñ  dikhā  rahī  hai
fiqre  se  le  aa.e  us  sanam  ko
kyuuñ  'muntahī'  baat  kyā  rahī  hai