Mirza Maseeta Beg Muntahi

jawani ki haalat guzar jaegi

Mirza Maseeta Beg Muntahi

javānī hālat guzar jā.egī

chaḌhī hai jo sar par utar jā.egī

jidhar ko mirī chashm-e-tar jā.egī

udhar kaam dariyā kar jā.egī

zamāne iizā shikva na kar

guzarte guzarte guzar jā.egī

khulegā tujhe ishq-bāzī haal

ye hirs-e-havā jabki mar jā.egī

mire jism-e-ḳhākī se ho ke judā

ye rūh-e-ravāñ phir kidhar jā.egī

mire naġhmoñ se andalīb-e-chaman

kahāñ uḌ ke musht-e-par jā.egī

tavajjoh tirī o but-e-bevafā

mirā kaam āḳhir ko kar jā.egī

bahār-e-chaman jabki hogī ḳhizāñ

mirī vahshat-e-dil kidhar jā.egī

agar jazba-e-dil pe qaabū rahā

shab-e-vasl phir Thahar jā.egī

khiñchī hai jo teġh-e-mohabbat dilā

yahī ek din tere sar jā.egī

chaḌhī hogī kachche ghaḌe jise

utarte utarte utar jā.egī

qimār-e-mohabbat meñ gar aah

ye jiitī huī baazī har jā.egī

mirī marg aisī hai ai 'muntahī'

ki jis adam tak ḳhabar jā.egī

Top Urdushayar.com