Mirza Maseeta Beg Muntahi

bazm-e-alam mein bahut se humne mare hath-paon

Mirza Maseeta Beg Muntahi

bazm-e-ālam meñ bahut se ham ne maare hāth-pāoñ
terī sūrat ke na dekhe pyāre pyāre hāth-pāoñ
bahr-e-ulfat meñ bahut se ham ne maare hāth-pāoñ
lag rahe mānind-e-ḳhas āḳhir kināre hāth-pāoñ
āshiq mū-e-kamar kī le ḳhabar o be-ḳhabar
suukh kar tinkā hue haiñ us ke saare hāth-pāoñ
merī ḳhidmat se nihāyat ḳhush huā vo bad-mizāj
vasl kī shab kaam aa.e apne baare hāth-pāoñ
bahr-e-hastī meñ milā ham ko dur-e-maqsad na haif
mauj ke mānind kyā kyā ham ne maare hāth-pāoñ
vaqt-e-zab.h bolā ye qātil āshiq-e-nād-shād se
TukḌe kar Daalā kabhī tū ne jo maare hāth-pāoñ
khel rahtā hai tavakkul par mirī auqāt kā
chalte-phirte haiñ hamāre be-sahāre hāth-pāoñ
tīkhī tīkhī un kī chitvan bāñkī bāñkī un kī chaal
bholī bholī un kī sūrat pyāre pyāre hāth-pāoñ
Top Urdushayar.com