bazm-e-ālam  meñ  bahut  se  ham  ne  maare  hāth-pāoñ
terī  sūrat  ke  na  dekhe  pyāre  pyāre  hāth-pāoñ
bahr-e-ulfat  meñ  bahut  se  ham  ne  maare  hāth-pāoñ
lag  rahe  mānind-e-ḳhas  āḳhir  kināre  hāth-pāoñ
āshiq  mū-e-kamar  kī  le  ḳhabar  o  be-ḳhabar
suukh  kar  tinkā  hue  haiñ  us  ke  saare  hāth-pāoñ
merī  ḳhidmat  se  nihāyat  ḳhush  huā  vo  bad-mizāj
vasl  kī  shab  kaam  aa.e  apne  baare  hāth-pāoñ
bahr-e-hastī  meñ  milā  ham  ko  dur-e-maqsad  na  haif
mauj  ke  mānind  kyā  kyā  ham  ne  maare  hāth-pāoñ
vaqt-e-zab.h  bolā  ye  qātil  āshiq-e-nād-shād  se
TukḌe  kar  Daalā  kabhī  tū  ne  jo  maare  hāth-pāoñ
khel  rahtā  hai  tavakkul  par  mirī  auqāt  kā
chalte-phirte  haiñ  hamāre  be-sahāre  hāth-pāoñ
tīkhī  tīkhī  un  kī  chitvan  bāñkī  bāñkī  un  kī  chaal
bholī  bholī  un  kī  sūrat  pyāre  pyāre  hāth-pāoñ