nafs-e-sag-e-palīd  ko  gar  apne  māriye
mānind-e-sher  dasht-e-jahāñ  meñ  Dakāriye
us  gul  ko  josh-e-gul  meñ  ye  kah  kar  ubhāriye
gulshan  meñ  andalīb  ko  chal  kar  pukāriye
phir  murġh-e-dil  ko  phāñsiye  phir  jaal  māriye
phir  ho  sake  to  aap  se  gesū  sañvāriye
piirī  meñ  kaif-e-ishq  se  tauba  to  kījiye
manzil  rahī  hai  thoḌī  sī  himmat  na  hāriye
girdāb-e-bahr-e-ishq  ke  chakkar  haiñ  raat  din
kaun  āshnā-e-hāl  hai  kis  ko  pukāriye
dil  de  ke  jaur-o-zulm  kā  shikva  na  kījiye
do  din  kī  zindagī  kisī  Dhab  se  guzāriye
ahl-e-havas  kī  dahr  meñ  miTTī  ḳharāb  hai
galiyoñ  meñ  ḳhaak  chhān  rahī  haiñ  niyār.iye
mānind-e-zulf  ġhair  ko  kyuuñ  sar  chaḌhā.iye
āñkhoñ  se  shakl-e-ashk  ke  is  ko  utāriye
paidā  kareñ  asar  jo  dur-e-ashk  nāseho
un  motiyoñ  pe  hañs  ko  sau  baar  vāriye
juz  mere  daal  aap  kī  galtī  nahīñ  kahīñ
yuuñ  muñh  se  jitnī  chāhiye  sheḳhī  baghāriye
naala  jo  zer-e-teġh  kiyā  maiñ  ne  jis  ghaḌī
bole  ki  ek  dam  ke  liye  dam  na  māriye
tauba  sharāb-e-ishq  se  kis  tarah  kījiye
kyūñkar  ye  jin  chaḌhā  huā  sar  se  utāriye
kyā  kyā  na  dost  apne  miyān-e-adam  ga.e
kis  ko  talāsh  kījiye  kis  ko  pukāriye
us  but  ke  bahr-e-husn  meñ  dil  ko  Duboiye
is  kashtī-e-hayāt  ko  yuuñ  paar  utāriye
manzūr  ho  jo  rāhat-e-kaunain  'muntahī'
hāthoñ  ko  khīch  lījiye  paañv  pasāriye