mīThī  hai  aisī  baat  us  kī
lauñDī  hai  ik  nabāt  us  kī
samjhā  na  maiñ  ek  baat  us  kī
mujh  par  kyā  kā.enāt  us  kī
aalam  hai  be-sabāt  ai  dil
ik  zaat  ko  hai  sabāt  us  kī
mah  us  kā  hai  āftāb  us  kā
din  us  kā  hai  aur  raat  us  kī
kis  muñh  se  karūñ  maiñ  vasf  us  kā
hai  aql  se  duur  zaat  us  kī
mimber  pe  jo  bak  rahā  hai  vaa.iz
kab  suntā  huuñ  ḳhair  baat  us  kī
hai  daulat-e-husn  paas  tere
detā  nahīñ  kyuuñ  zakāt  us  kī
hai  jo  ki  shahīd  teġh-e-taslīm
hai  misl-e-ḳhizar  hayāt  us  kī
dam  de  ke  na  naqd-e-dil  ko  le-le
chal  jaa.e  kahīñ  na  ghaat  us  kī
jo  dil  ki  hai  ġharq  bahr-e-duniyā
kyūñkar  hogī  najāt  us  kī
dil  jaatā  hai  sū-e-kū-e-qātil
ḳhāliq  rakhe  hayāt  us  kī
dam  de  ke  le  aayā  yaar  ko  dil
kyā  rah  ga.ī  aaj  baat  us  kī
tanhā  nahīñ  'muntahī'  kisī  jā
taqdīr  hai  us  ke  saath  us  kī