fuġhān-o-āh  se  paidā  kiyā  dard-e-judā.ī  ko
ġhazab  meñ  jaan  ko  Daalā  jatā  kar  āshnā.ī  ko
miTāyā  pās-e-rusvā.ī  se  merī  āshnā.ī  ko
bichhā.ūñ  aap  kī  ismat  ko  oḌhūñ  pārsā.ī  ko
na  aayā  ba.ad-e-murdan  bhī  lahad  par  fātiha  paḌhne
maiñ  itnā  bhī  na  samjhā  thā  tirī  nā-āshnā.ī  ko
na  dil  apnā  huā  apnā  na  ik  but  par  huā  qaabū
kareñge  yaad  kiyā  ham  ai  ḳhudā  tere  ḳhudā.ī  ko
kisī  mahfil  meñ  jis  dam  zikr-e-sham-e-tūr  hotā  hai
dikhā  dete  haiñ  vo  jal  kar  sar-añgusht-e-hinā.ī  ko
faqīr-e-be-navā  us  ke  dar-e-daulat  kā  hai  banda
ġhanīmat  jānte  haiñ  shaah  tak  jis  kī  gadā.ī  ko
asar  paidā  karegī  aah  apnī  yaar  ke  dil  meñ
nishāne  tak  ḳhudā  pahuñchā.egā  tīr-e-havā.ī  ko
kabhī  hai  fikr  duniyā  kī  kabhī  uqbā  kā  dhaḌkā  hai
utārūñ  jāma-e-tan  se  maiñ  kyūñkar  is  dulā.ī  ko
garebāñ  haath  aatā  hai  na  sahrā  tak  pahuñchtā  huuñ
ḳhudā  ke  vāste  dekho  mire  be-dast-o-pā.ī  ko
falak  vo  tafraqa-parvāz-e-ālam  hai  dilā  sar  par
ġhanīmat  jāntā  huuñ  gor  tak  apnī  rasā.ī  ko
shikasta-dil  haiñ  har  dam  har  ghaḌī  haiñ  jaan  ke  laale
karūñ  kyā  nosh-dāro  ko  maiñ  kyā  luuñ  mūsiyā.ī  ko
tamannā-e-dilī  ne  'muntahī'  khoyā  mashīḳhat  ko
milāyā  ḳhaak  meñ  dast-e-havas  ne  mīrzā.ī  ko