mubtalā  ye  dil  huā  jab  yaar  nañgā  ho  gayā
sham.a  be-parda  huī  qurbāñ  patañgā  ho  gayā
gir  paḌe  ushshāq  us  kī  teġh-e-ḳhūñ-āshām  par
kal  shahādat  ke  talab-gāroñ  kā  dañgā  ho  gayā
dafn  kar  ke  fātiha  paḌh  ke  mirā  bolā  vo  shoḳh
aaj  bīmār-e-mohabbat  merā  chañgā  ho  gayā
bazm  meñ  jal  kar  kiyā  shab  rāz-e-ulfat  āshkār
sham.a  ke  mānind  parvāna  bhī  nañgā  ho  gayā
gir  ke  us  ke  kūcha-e-tārīk  meñ  niklā  na  dil
pech-e-zulf-e-yār  kā  mujh  ko  aḌañgā  ho  gayā
vasf  dair-o-ka.aba  kā  ham  ne  judāgāna  kiyā
ek  hī  mazmūn  thā  fiqara  do-rañgā  ho  gayā
baḌhte  baḌhte  apnā  tūl-e-zindagānī  kam  huā
ghaTte  ghaTte  jāma-e-hastī  uTañgā  ho  gayā
ḳhushnumā  hai  us  ruḳh-e-raushan  pe  kyā  ḳhāl-e-siyāh
zeb  gulzār-e-iram  kā  lā-bhujañgā  ho  gayā
shāh-e-haft-aqlīm  se  ai  dil  gadā-e-dahr  tak
Dhañg  se  aayā  vahāñ  se  yaañ  kaDhañgā  ho  gayā
jis  qadar  vo  mujh  se  bigḌā  maiñ  bhī  bigḌā  us  qadar
vo  huā  jaame  se  bāhar  meñ  bhī  nañgā  ho  gayā
yuuñ  kaheñge  yaar  iqlīm-e-suḳhan  meñ  in  dinoñ
'muntahī'  bhī  ek  hī  kaTTā-dabañgā  ho  gayā