fuġhān-o-āh  hai  har-dam  pukār  rakhtā  hai
ġhazab  meñ  jaan  dil-e-be-qarār  rakhtā  hai
gul-e-chaman  na  dur-e-shāhvār  rakhtā  hai
bharā  bharā  jo  badan  merā  yaar  rakhtā  hai
latīf  ruuh  kī  mānind  jism  hai  kis  kā
piyāda  kaun  vaqār-e-savār  rakhtā  hai
judā  judā  hai  hasīnān-e-dahr  kā  andāz
har  ek  tarah  kī  har  gul  bahār  rakhtā  hai
fareb-e-husn  se  allāh  aadmī  ko  bachā
chale  ye  pech  to  rustam  ko  maar  rakhtā  hai
kamāl-e-ishq  ko  paatā  huuñ  ḳhāksārī  meñ
taraf  nasheb  ke  dariyā  guzār  rakhtā  hai
bahār  aa.ī  hai  bint-ul-inab  pe  joban  hai
girah  meñ  daam  koī  bāda-ḳhvār  rakhtā  hai
sunā  hai  jab  se  ki  haiñ  dafan  us  meñ  āshiq-e-zār
qadam  zamīñ  pe  nahīñ  vo  nigār  rakhtā  hai
har  ek  shīsha-e-sā.at  falak  ko  kahtā  hai
ki  'muntahī'  se  sarāsar  ġhubār  rakhtā  hai