Mirza Maseeta Beg Muntahi

kali jo gul ki chaTak rahi hai tabiat apni khaTak rahi hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

kalī jo gul kī chaTak rahī hai tabī.at apnī khaTak rahī hai
jahāñ meñ vahshat bhaTak rahī hai hazār sar ko paTak rahī hai
chaman meñ hai jo ki shāḳh-e-sumbul urūs-e-gul kī vo yā hai kākul
tujhe ḳhabar hai kuchh us kī bulbul jo us ke muñh par laTak rahī hai
vahāñ mujhe shauq-e-dil tū le jā jahāñ na sāġhar na ho.e miinā
ba-rañg-e-sāqī har ek baiThā sharāb-e-ḳhālis Tapak rahī hai
chaman meñ bulbul yahī pukārī lo mai-kashoñ kī phir aa.ī baarī
zabāñ pe shīshe ke hai ye jaarī sharāb lo yaañ Dhalak rahī hai
kahīñ pe majma.a hai mai-kashoñ kā kahīñ akhāḌā hai un butoñ kā
kahīñ barasnā hai bādaloñ kā kahīñ pe bijlī chamak rahī hai
mizha kī ulfat meñ zaar ban kar rahā huuñ mū-e-nigār ban kar
ye saañs siine meñ ḳhaar ban kar jigar ke andar khaTak rahī hai
na us meñ aa.ī zarā kudūrat guloñ kī mailī na siyāhat
sabā chaman meñ pa.e latāfat guloñ ke jaame chhiTak rahī hai
nahīñ bagūlā miyān-e-hāmūñ jo mujh se pūchho to saaf kah duuñ
talāsh-e-laila meñ rūh-e-majnūñ har ek jānib bhaTak rahī hai
ġhurūr-e-husn ai nigār kab tak chaman ke uupar bahār kab tak
rahoge zeb-e-kanār kab tak ḳhizāñ har ik gul ko tak rahī hai
jahāñ na bhaTTī na mai-kada hai ajab tarah kā magar samāñ hai
ḳhum-e-falak meñ ye kyā bharā hai sharāb-e-sāfī Tapak rahī hai
kahūñ maiñ fiqara vo hai hañsī kā charāġh-e-mahfil kā hai falītā
chhuTā jo shamla hai shaiḳh jī kā ye un kī sheḳhī laTak rahī hai
bahār laayā hai sāġhar-e-gul bhare haiñ goyā piyāla-e-mul
nahīñ hai mahfil meñ shor-e-qulqul chaman meñ bulbul chahak rahī hai
laḌā.ī kis ne hai aañkh uupar nigāh us kī hai misl-e-ḳhanjar
maiñ dekhtā huuñ ki chashm-e-aḳhtar falak ke uupar jhapak rahī hai
hamāre dil meñ nahīñ hai kiina ki jaise be-jurm ho nagīna
ye bahr-e-hastī kā hai safīna isī pe duniyā phaḌak rahī hai
bahār hai daur-e-mai-kashī kī guloñ kī rañgat abhī hai phīkī
ajiib hālat hai 'muntahī' kī abhī se chhātī dhaḌak rahī hai
Top Urdushayar.com