Mirza Maseeta Beg Muntahi

dar pe us shoKH ke jab ja baiTha

Mirza Maseeta Beg Muntahi

dar pe us shoḳh ke jab jā baiThā
yaar sab kahte haiñ achchhā baiThā
ḳhūbī-e-qismat-e-qāsid dekho
paas us shoḳh ke kyā jā baiThā
hai habāb-e-lab-e-dariyā insāñ
jab zarā sar ko uThāyā baiThā
zo.af-e-pīrī se banā naqsh-e-qadam
maiñ vahīñ kā huā jis jā baiThā
sūrat-e-bād rahā sar-gardāñ
ḳhaak kī tarah maiñ uTThā baiThā
paañv phūle jo tire kūche meñ
kaaT ke dast-e-tamannā baiThā
bahr-e-hastī meñ habāboñ kī tarah
saikḌoñ baar maiñ uTThā baiThā
kab se terā falak-e-sho.abada-bāz
dekhtā huuñ maiñ tamāshā baiThā
sāmne kis ke jhukāyā sar ko
kis liye shaiḳh tū uTThā baiThā
na to naala hai na afġhāñ ai dil
kis liye chup hai akelā baiThā
ḳhvāb-e-sair-e-chaman-e-ālam hai
kyā dil-e-zār hai phūlā baiThā
dāman-e-dil pe lagā dāġh-e-junūñ
mulk par ishq kā sikka baiThā
naqd-e-dil thā jo bizā.at meñ mirī
ishq meñ us ko bhī kho-khā baiThā
jo gayā mulk-e-adam kaun gayā
us ke kūche meñ jo baiThā baiThā
dil ko hai jazba-e-ulfat shāyad
bak rahā hai jo akelā baiThā
chal base 'muntahī' sab yaar tire
tū yahāñ kartā hai ab kyā baiThā
Top Urdushayar.com