Intikhab Alam

hara-bhara tha chaman mein shajar akela tha

Intikhab Alam

harā-bharā thā chaman meñ shajar akelā thā
shajar pe barg bahut the samar akelā thā
baqā-e-nūr falak par bhī ho ga.ī mushkil
umaD rahī thiiñ ghaTā.eñ qamar akelā thā
yahī to ek tamāsha pas-e-tamāshā thā
tamāsh-bīñ the bahut dīda-var akelā thā
rafāqatoñ se ye tanhā.ī kam nahīñ hotī
sharīk-e-bazm to thā maiñ magar akelā thā
gunāh-e-ishq kī kaisī sazā milī ham ko
ki sañg-bār zyāda the sar akelā thā
kiyā thā ham ne safar saath saath yuuñ 'ālam'
ki maiñ akelā mirā ham-safar akelā thā
Top Urdushayar.com