Intikhab Alam

baiTh jata tha main thak kar apne tan ki chhanw mein

Intikhab Alam

baiTh jaatā thā maiñ thak kar apne tan chhāñv meñ

ek ghar hotā thā apne naam us gaañv meñ

qatre qatre ko tarastā rahā maiñ umr bhar

go safar kartā rahā maiñ umr bhar dariyāoñ meñ

mar ke jiitā thā kabhī maiñ ke martā thā kabhī

ḳhush-nasībī thī safar kartā thā do duniyāoñ meñ

dekhtī āñkhoñ se ham chup-chāp sunte rahe

guftugū jaarī thī rañg-e-gul pe nā-bīnāoñ meñ

shahr meñ rahte hue tanhā.ī ye haal thā

maiñ ghirā rahtā thā jaise be-karāñ sahrāoñ meñ

jis shajar ko kaaT kar us ne haTāyā raah se

rah chukā thā vo shajar us ke karam-farmāoñ meñ

ḳhvāb meñ 'ālam' ne auj-e-arsh tak parvāz

aur jaage to vahī chakkar thā apne paañv meñ

Top Urdushayar.com