Shaayar Lakhnavi

nafas nafas pe naya soz-e-agahi rakhna

Shaayar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1917-1989

nafas nafas pe nayā soz-e-āgahī rakhnā

kisī dard bhī ho aañkh meñ namī rakhnā

vo tishna-lab huuñ ki merī anā hai me.aar

samundaroñ se bhī paimān-e-tishnagī rakhnā

rafāqatoñ ke tasalsul se na bhar jaa.e

judā.iyoñ bhī mausam kabhī kabhī rakhnā

vafā kisī pe koī qarz to nahīñ hotī

jo ho sake to hamārā ḳhayāl bhī rakhnā

kahīñ sitam ke añdhere na ruuh ko Das leñ

fasīl-e-jism pe zaḳhmoñ raushnī rakhnā

charāġh-e-sub.h sahī ham hamāre maslak meñ

ravā nahīñ hai añdheroñ se dostī rakhnā

ajiib shaḳhs hai vo bhī ki us ko aatā hai

gurez meñ bhī adā-e-supurdagī rakhnā

ta.alluqāt meñ raḳhne bhī Daal detā hai

har aadmī se umīdeñ na.ī na.ī rakhnā

hamārā kaam hai harfoñ ko raushnī de kar

ḳhud apne zarf meñ chiñgāriyāñ dabī rakhnā

havā-e-shab nahīñ e.atibār ai 'shā.ir'

hazār niiñd ho āñkheñ magar khulī rakhnā

Top Urdushayar.com