kisī  kī  ḳhush-rañg  guftugū  kī  miThās  sheroñ  meñ  Dhal  ga.ī  hai
hamārī  āñkhoñ  ke  ḳhvāb-dāñ  se  tumhārī  sūrat  nikal  ga.ī  hai
hamārā  kyā  hai  hamārī  sochoñ  ko  noch  khā.eñge  ye  parinde
hamārī  chaupāl  ke  shajar  ko  ġhulām  dīmak  nigal  ga.ī  hai
koī  batāo  ki  ahl-e-fan  ke  zamīr  murda  hue  haiñ  kab  se
ki  is  galī  ke  ġharīb  bachchoñ  ke  saath  ġhurbat  bhī  pal  ga.ī  hai
usī  kā  jurm  ab  usī  kī  izzat  ke  saath  khilvāḌ  kar  rahā  hai
usī  kī  tāqat  amīr-zāde  ke  muñh  pe  kālak  sī  mal  ga.ī  hai
guzishta  shab  mere  paas  baiThā  tumhārā  ġham  mujh  pe  hañs  rahā  thā
vo  kah  rahā  thā  ki  duur  jā  kar  tumhārī  paglī  badal  ga.ī  hai