isī  liye  tujhe  detā  huuñ  daad  nafrat  kī
ki  tū  ne  ishq  se  pur-e'timād  nafrat  kī
koī  na  dil  se  kisī  ko  nikāl  kar  pheñke
kabhī  na  puurī  ho  maulā  murād  nafrat  kī
kabhī  kabhī  vo  mujhe  pyaar  itnā  detā  thā
kabhī  kabhī  bahut  aatī  thī  yaad  nafrat  kī
gulāb  suukh  ga.e  haiñ  hue  haiñ  ḳhaar  hare
havas  ne  pyaar  meñ  Daalī  hai  khaad  nafrat  kī
ye  dost  barsar-e-paikār  hone  lag  ga.e  haiñ
to  vaj.h  banñe  lagī  hai  fasād  nafrat  kī
us  ek  shaḳhs  ko  chāhūñgā  tā-dam-e-āḳhir
vo  jis  ne  mujh  se  mohabbat  ke  ba.ad  nafrat  kī
na  koī  tiir  na  sāzish  na  tohmateñ  na  hasad
kisī  ne  mujh  se  baḌī  be-svād  nafrat  kī
ki  us  kā  dard  mohabbat  ke  dukh  se  thoḌā  hai
ye  baat  achchhī  hai  is  nā-murād  nafrat  kī
maiñ  is  liye  bhī  mohabbat  se  baaz  aa  gayā  thā
ki  us  ke  shahr  meñ  miltī  thī  daad  nafrat  kī