jo  puure  hone  se  rah  ga.e  the  vo  ḳhvāb  rakkhe  hue  haiñ  ghar  meñ
yaqīn  maano  purānī  rut  ke  gulāb  rakkhe  hue  haiñ  ghar  meñ
tumhāre  lafzoñ  kī  dhīmī  ḳhushbū  havās-e-ḳhamsa  ko  nochtī  hai
ḳhatoñ  kī  sūrat  meñ  sach  kahūñ  to  azaab  rakkhe  hue  haiñ  ghar  meñ
visāl  lamhoñ  kā  goshvāra  alag  se  likkhā  hai  diary  meñ
alag  se  furqat  kī  bebasī  ke  hisāb  rakkhe  hue  haiñ  ghar  meñ
hameñ  paḌhānā  hai  apne  bachchoñ  ko  apnī  nasleñ  sañvārnī  haiñ
isī  liye  to  ham  apnī  hālat  ḳharāb  rakkhe  hue  haiñ  ghar  meñ