Ahmad Mushtaq

ye kahna to nahin kafi ki bas pyare lage hum ko

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ye kahnā to nahīñ kaafī ki bas pyāre lage ham ko
unheñ kaise batā.eñ ham ki vo kaise lage ham ko
makīñ the yā kisī khoī huī jannat kī tasvīreñ
makāñ is shahr ke bhūle hue sapne lage ham ko
ham un ko soch meñ gum dekh kar vāpas chale aa.e
vo apne dhyān meñ baiThe hue achchhe lage ham ko
bahut shaffāf the jab tak ki masrūf-e-tamannā the
magar is kār-e-duniyā meñ baḌe dhabbe lage ham ko
jahāñ tanhā hue dil meñ bhañvar se paḌne lagte haiñ
agarche muddateñ guzrīñ kināre se lage ham ko
Top Urdushayar.com