Akhtar Shirani

na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
na sāz-o-mutrib na jām-o-sāqī na vo bahār-e-chaman hai baaqī
nigāh-e-sham-e-sahar ke parde ye naqsha-e-anjuman hai baaqī
zamāna guzrā vo yāsman-bū judā huī ham-kanār ho kar
magar abhī tak hamāre pahlū meñ nik.hat-e-yāsman hai baaqī
bhulā chukī dil se shām-e-ġhurbat har ek naqsha har ek sūrat
hamārī āñkhoñ meñ lekin ab tak faroġh-e-sub.h-e-vatan hai baaqī
zamāna badlā miTī javānī na vo mohabbat na zindagānī
bas ek bholī sī yaad hai jo ba-rañg-e-dāġh-e-kuhan hai baaqī
miTā diye be-sutūn charḳh-e-kuhan ne shīrīñ-laqā hazāroñ
magar mohabbat ke lab par ab bhī tarāna-e-kohkan hai baaqī
habāb-āsā muhīt-e-hastī meñ jo hai miTne ko ban rahā hai
hai inqalāb ik numūd aisī jo zer-e-charḳh-e-kuhan hai baaqī
ġham-e-zamāna kī saḳhtiyoñ se huī hai pāmāl tab-e-'aḳhtar'
na vo nishāt-e-kuhan hai baaqī na vo mazāq-e-suḳhan hai baaqī
Top Urdushayar.com