Akhtar Shirani

jhum kar badli uThi aur chha gai

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
jhuum kar badlī uThī aur chhā ga.ī
saarī duniyā par javānī aa ga.ī
aah vo us kī nigāh-e-mai-farosh
jab bhī uTThī mastiyāñ barsā ga.ī
gesu-e-mushkīñ meñ vo rū-e-hasīñ
abr meñ bijlī sī ik lahrā ga.ī
ālam-e-mastī kī tauba al-amāñ
pārsā.ī nashsha ban kar chhā ga.ī
aah us kī be-niyāzī kī nazar
aarzū kyā phuul sī kumhlā ga.ī
sāz-e-dil ko gudgudāyā ishq ne
maut ko le kar javānī aa ga.ī
pārsā.ī kī javāñ-margī na pūchh
tauba karnī thī ki badlī chhā ga.ī
'aḳhtar' us jān-e-tamannā kī adā
jab kabhī yaad aa ga.ī taḌpā ga.ī
Top Urdushayar.com