Ahmad Mushtaq

chand is ghar ke darichon ke barabar aaya

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
chāñd us ghar ke darīchoñ ke barābar aayā
dil-e-mushtāq Thahar jā vahī manzar aayā
maiñ bahut ḳhush thā kaḌī dhuup ke sannāTe meñ
kyuuñ tirī yaad kā bādal mire sar par aayā
bujh ga.ī raunaq-e-parvāna to mahfil chamkī
so ga.e ahl-e-tamannā to sitamgar aayā
yaar sab jam.a hue raat kī ḳhāmoshī meñ
koī ro kar to koī baal banā kar aayā
Top Urdushayar.com