Akhlaque Bandvi

charKH bhi chhu len to jaana hai isi miTTi mein

Akhlaque Bandvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1964

charḳh bhī chhū leñ to jaanā hai isī miTTī meñ

mustaqil apnā Thikānā hai isī miTTī meñ

jin ke dāman pe kabhī chāñd-sitāre chamke

dafan un bhī fasāna hai isī miTTī meñ

be-amal haath lagā.e bhī to ḳhālī jaa.e

haañ jafā-kash ḳhazāna hai isī miTTī meñ

is tarah chal ki ye pāmāl na hone paa.e

be-ḳhabar aab hai daana hai isī miTTī meñ

ham-vatan ḳhāk-e-vatan kyuuñ na ho pyārī ki hameñ

ba.ad-az-marg bhī jaanā hai isī miTTī meñ

log kal kah ke tujhe yaad kareñge 'aḳhlāq'

shā.ir-e-faḳhr-e-zamāna hai isī miTTī meñ

Top Urdushayar.com