bahbūd-o-madad  kī  vo  sanad  se  nikal  aa.e
kuchh  peT  ġharīboñ  kī  rasad  se  nikal  aa.e
un  ko  maiñ  khulī  āñkhoñ  se  ab  dekh  rahā  huuñ
kuchh  ḳhvāb  mirī  niiñd  kī  zad  se  nikal  aa.e
bachpan  kī  hadeñ  toḌ  de  chal  umr  ke  ham-rāh
ab  to  tire  bachche  tere  qad  se  nikal  aa.e
rāste  meñ  zamāne  ne  bichhā  rakkhe  the  kāñTe
ham  apne  irādoñ  kī  madad  se  nikal  aa.e
mat  DhūñDh  mere  dost  tabassum  mire  lab  par
ab  kaise  ye  āġhosh-e-lahad  se  nikal  aa.e
'ḳhālid'  mire  jazbāt  kī  shiddat  meñ  kamī  thī
aañsū  bhī  mirī  āñkhoñ  kī  had  se  nikal  aa.e