ab  is  qadar  bhī  to  be-ābrū  na  samjhā  jaa.e
ki  aarzū  ko  mirī  aarzū  na  samjhā  jaa.e
tumhārī  yaad  kā  har  zaḳhm  ristā  rahtā  hai
maiñ  be-vuzū  huuñ  magar  bā-vazū  na  samjhā  jaa.e
maiñ  apne  aap  se  ḳhalvat  meñ  baat  kartā  huuñ
use  maraz  ai  mere  chāra-jū  na  samjhā  jaa.e
vo  apnā  aks  agar  mujh  meñ  dekh  hī  na  sake
to  aa.ine  ko  mire  rū-ba-rū  na  samjhā  jaa.e
maiñ  sirf  suntā  huuñ  aur  sirf  boltā  vo  hai
use  ḳhudā  ke  liye  guftugū  na  samjhā  jaa.e
ye  ek  roz  koī  inqalāb  lā.egā
mirā  lahū  hai  use  bas  lahū  na  samjhā  jaa.e
bhaTak  rahā  hai  agar  dil  namāz  meñ  to  miyāñ
jo  qibla-rū  hai  use  qibla-rū  na  samjhā  jaa.e