ḳhud  ko  majnūñ  kabhī  farhād  kiyā  hai  maiñ  ne
vaqt  apnā  baḌā  barbād  kiyā  hai  maiñ  ne
kaam  ye  bhī  mire  sayyād  kiyā  hai  maiñ  ne
ḳhauf  dil  se  tirā  āzād  kiyā  hai  maiñ  ne
ek  patthar-sifat  insāñ  se  mohabbat  kar  ke
ai  ġham-e-dil  tujhe  ījād  kiyā  hai  maiñ  ne
shāḳh-e-dil  par  tirī  yādoñ  kā  baserā  kyoñ  hai
in  parindoñ  ko  to  āzād  kiyā  hai  maiñ  ne
yuuñ  khilāyā  hai  tire  dil  meñ  mohabbat  kā  gulāb
dasht  aise  koī  ābād  kiyā  hai  maiñ  ne
ik  ibādat  se  kahāñ  kam  hai  mohabbat  merī
tujh  ko  aayat  kī  tarah  yaad  kiyā  hai  maiñ  ne
tujh  ko  duniyā  ke  tamāshoñ  se  bachne  ke  liye
jaane  kyā  kyā  mirī  aulād  kiyā  hai  maiñ  ne
hukmarānī  pe  jise  naaz  bahut  thā  'ḳhālid'
us  ko  āmāda-e-fariyād  kiyā  hai  maiñ  ne