Quaiser Khalid

aaina hun ki main patthar hun ye kab puchhe hai

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971

aa.ina huuñ ki maiñ patthar huuñ ye kab pūchhe hai

ziist mujh se mere jiine sabab pūchhe hai

munkashif hone lage jab se rumūz-o-asrār

kuchh savāl ab dil-e-ma.asūm ajab pūchhe hai

maqsad-e-zīst, koī ḳhvāb ḳhvāhish koii?

ham ne jab liye lab apne vo tab pūchhe hai

har koī apnī tag-o-dau meñ hai masrūf yahāñ

kaun ab kis udāsī sabab pūchhe hai

vahshat-e-dil meñ kamī ho bhī to kyaa, hāl-e-darūñ

aur baḌh jaatī hai kuchh, ham se vo jab pūchhe hai

jis ne barbād kiyā ḳhāna-e-dil rah rah kar

kyā qayāmat hai, vahī is sabab pūchhe hai

koī bhī rishta nikaltā nahīñ ham donoñ meñ

phir bhī kyuuñ ham se hamārā vo nasab pūchhe hai

saath guzre the kabhī arsa huaa, mujh se magar

aaj bhī terā patā rāh-e-talab pūchhe hai

ik nidā jis ko samajhte haiñ zamīr apnā sabhī

qabl-e-laġhzish hameñ is shakl meñ rab pūchhe hai

ab ye aalam hai ki ḳhud vahshat-e-dil bhī 'ḳhālid'

ghar mire der se aane sabab pūchhe hai

Top Urdushayar.com