galiyāñ  haiñ  bahut  sī  abhī  dīvār  ke  aage
sansār  mileñge  tujhe  sansār  ke  aage
ma.anī  kī  na.ī  sharheñ  thiiñ  har  baat  meñ  us  kī
iqrār  se  pahle  kabhī  inkār  ke  aage
taqdīr  jise  kahte  haiñ  duniyā  ke  mufakkir
zardār  ke  pīchhe  hai  to  nādār  ke  aage
in  ko  bhī  samajhnā  hai  abhī  sāhab-e-idrāk
hote  haiñ  haqā.eq  bhī  to  aḳhbār  ke  aage
kyā  izzat-e-sādāt  zarā  der  na  Thahrī
dastār  bhī  pāzeb  kī  jhankār  ke  aage
ab  haath  qalam  hone  haiñ  kyā  guzrī  ho  socho
jab  baat  ga.ī  hogī  ye  me.amār  ke  aage
mahdūd  hī  hotī  hai  sadā  satvat-e-shamshīr
laanā  hai  qalam  ko  tirī  talvār  ke  aage