Quaiser Khalid

ye zaman-o-makan ka sitam bhi naya

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971

ye zamān-o-makāñ sitam bhī nayā

terā ġham bhī nayā, merā ġham bhī nayā

shoḳhī-e-husn shahroñ meñ yuuñ al-amāñ

saath mausam ke badleñ sanam bhī nayā

maslahat vaqt bhej detī hai kyuuñ

har masarrat ke ham-rāh ram bhī nayā

kaun lafzoñ ko detā hai ma.anī na.e

aur mire sher ko pech-o-ḳham bhī nayā

bad-gumānī ne tabdīl mehvar kiye

ka.aba us to merā sanam bhī nayā

āfrīñ āfrīñ dushman-e-jāñ mire

terī ījād hai ye sitam bhī nayā

dāvar-e-hashr aajiz huuñ maiñ, nahīñ

lauh de ab na.ī aur qalam bhī nayā

mulk-dar-mulk bhaTke, sukūñ kab milā

chāhiye dil ko shahr-e-adam bhī nayā

istilāh-e-jihād aaj badlī hai yuuñ

karbalā hai na.ī aur alam bhī nayā

lamhe lamhe tahqīq o ījād se

mil gayā nasl-e-nau ko shikam bhī nayā

har taraf koī jannat hai ab dahr meñ

aur hai bāġhbān-e-iram bhī nayā

mīThī bāteñ, kabhī talḳh lahje ke tiir

dil pe har din hai un karam bhī nayā

rūh-e-'jamshed' nādim hai is ahd meñ

ab hai har haath meñ jām-e-jam bhī nayā

hashr lamhe meñ, pal meñ sukūt-e-azal

aah! ye vaqt zer-o-bam bhī nayā

shaḳhsiyyat ek hai phir bhī pahlū hazār

us bātoñ meñ hotā hai ḳham bhī nayā

laaj 'ḳhālid' rakh le ḳhudāyā zarā!

tujh se bāñdhe ye har din bharam bhī nayā

Top Urdushayar.com