jidhar  se  vādī-e-hairat  meñ  ham  guzarte  haiñ
udhar  to  ahl-e-tamannā  bhī  kam  guzarte  haiñ
tire  huzūr  jo  anfās-e-ġham  guzarte  haiñ
ajab  hayāt  ke  aalam  se  ham  guzarte  haiñ
ravāñ  hai  barq  kā  sho.ala  sahāb-e-rahmat  meñ
naqāb  Daal  ke  ahl-e-sitam  guzarte  haiñ
hayāt  rok  rahī  hai  koī  qadam  na  baḌhā.e
ki  aaj  manzil-e-hastī  se  ham  guzarte  haiñ
lalak  baḌhā  ke  faqat  chand  buuñd  barsā  ke
ravāñ-davāñ  se  sahāb-e-karam  guzarte  haiñ
ta.ajjub  un  ke  liye  marg-e-nā-gahānī  kā
jo  zindagī  ke  marāhil  se  kam  guzarte  haiñ
muḳhālifat  hai  khulī  ab  na  dostī  'ahsan'
ghuTī  ghuTī  sī  fazāoñ  se  ham  guzarte  haiñ