Ahmad Mushtaq

dil mein wo shor na aankhon mein wo nam rahta hai

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
dil meñ vo shor na āñkhoñ meñ vo nam rahtā hai
ab tap-e-hijr tavaqqo se bhī kam rahtā hai
kabhī sho.ale se lapakte the mire siine meñ
ab kisī vaqt dhuāñ sā koī dam rahtā hai
kyā ḳhudā jaane mire dil ko huā tere ba.ad
na ḳhushī is meñ Thahartī hai na ġham rahtā hai
rishta-e-tār-e-tamannā nahīñ TuuTā ab tak
ab bhī āñkhoñ meñ tirī zulf kā ḳham rahtā hai
chhoḌ jaatī hai har ik rut koī ḳhushbū koī rañg
na sitam rahtā hai baaqī na karam rahtā hai
Top Urdushayar.com