Ahmad Mushtaq

KHwab ke phulon ki tabiren kahani ho gain

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ḳhvāb ke phūloñ kī ta.abīreñ kahānī ho ga.iiñ
ḳhuun ThanDā paḌ gayā āñkheñ purānī ho ga.iiñ
jis kā chehra thā chamakte mausamoñ kī aarzū
us kī tasvīreñ bhī aurāq-e-ḳhizānī ho ga.iiñ
dil bhar aayā kāġhaz-e-ḳhālī kī sūrat dekh kar
jin ko likhnā thā vo sab bāteñ zabānī ho ga.iiñ
jo muqaddar thā use to roknā bas meñ na thā
un kā kyā karte jo bāteñ nā-gahānī ho ga.iiñ
rah gayā 'mushtāq' dil meñ rañg-e-yād-e-raftagāñ
phuul mahñge ho ga.e qabreñ purānī ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com