Ahmad Mushtaq

dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
diloñ kī or dhuāñ sā dikhā.ī detā hai
ye shahr to mujhe jaltā dikhā.ī detā hai
jahāñ ki daaġh hai yaañ aage dard rahtā thā
magar ye daaġh bhī jaatā dikhā.ī detā hai
pukārtī haiñ bhare shahr kī guzargāheñ
vo roz shaam ko tanhā dikhā.ī detā hai
ye log TuuTī huī kashtiyoñ meñ sote haiñ
mire makān se dariyā dikhā.ī detā hai
ḳhizāñ ke zard dinoñ kī siyāh rātoñ meñ
kisī kā phuul sā chehra dikhā.ī detā hai
kahīñ mile vo sar-e-rāh to lipaT jaa.eñ
bas ab to ek hī rasta dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com