zer-e-zamīñ  rahūñ  ki  tah-e-āsmāñ  rahūñ
ai  justujū-e-yār  batā  maiñ  kahāñ  rahūñ
masrūf-e-shukr-e-ne.mat-e-pīr-e-muġhāñ  rahūñ
allāh  mujh  ko  yuuñ  hī  pilā.e  jahāñ  rahūñ
ghul  kar  bhī  jānib-e-dar-e-pīr-e-muġhāñ  rahūñ
mauj-e-sharāb-e-nāb  banūñ  aur  ravāñ  rahūñ
yā-rab  harīq-e-sho.ala-e-ishq-e-butāñ  rahūñ
dozaḳh  kī  aag  le  ke  muqīm-e-jināñ  rahūñ
zālim  ye  bazm-e-husn  kā  achchhā  rivāj  hai
tū  sham.a  ho  ke  bhī  na  jale  maiñ  tapāñ  rahūñ
ai  chashm-e-yār  maut  kā  pahlū  bachā  ke  tū
aisī  nigāh  Daal  ki  maiñ  nīm-jāñ  rahūñ
āb-e-hayāt  pī  ke  ḳhizar  kyā  yahāñ  rahe
maiñ  Thaan  luuñ  to  kuchh  na  piyūñ  aur  yahāñ  rahūñ
ban  jaa.eñ  merī  tarz-e-fanā  kī  kahāniyāñ
aisā  miTā  ki  sāhib-e-nām-o-nishāñ  rahūñ
saaqī  vo  ḳhās-taur  kī  ta.alīm  de  mujhe
us  mai-kade  meñ  jā.ūñ  to  pīr-e-muġhāñ  rahūñ
'muztar'  vajūd-e-zāt  ne  ghar  tak  bhī  le  liyā
jab  ḳhud  vo  har  jagah  hai  to  ab  maiñ  kahāñ  rahūñ