ravāñ  rahtā  hai  kis  kī  mauj  meñ  din  raat  tū  paanī
tujhe  kis  gauhar-e-nāyāb  kī  hai  justujū  paanī
vahī  mere  liye  saaqī  mai-e-gulfām  ban  jaa.e
jo  apne  dast-e-nāzuk  se  pilā  de  mujh  ko  tū  paanī
agar  dariyā  meñ  tum  dast-e-hinā.ī  apne  dho  lete
to  ab  tak  ho  gayā  hotā  kabhī  kā  suraḳh-rū  paanī
kiyā  karte  the  baḌh  baḌh  kar  bahut  bāteñ  safā.ī  kī
mire  ashkoñ  ne  kar  dī  motiyoñ  kī  aabrū  paanī
bahut  āsān  hai  muztar  zalīl-o-ḳhvār  ho  jaanā
jo  mushkil  hai  to  chashm-e-ḳhalq  meñ  kuchh  aabrū  paanī