jaan  ye  kah  ke  but-e-hosh-rubā  ne  le  lī
koī  pūchhe  to  ye  kahnā  ki  ḳhudā  ne  le  lī
gul-e-maqsūd  meñ  avval  to  mahak  thī  hī  nahīñ
aur  jo  thī  bhī  vo  hasrat  kī  havā  ne  le  lī
sab  se  pahle  to  siyāhī  mirī  qismat  ko  milī
jo  bachī  thī  vo  tirī  zulf-e-dotā  ne  le  lī
jaan  kambaḳht  mohabbat  meñ  bachā.e  na  bachī
but-e-kāfir  se  jo  chhūTī  to  ḳhudā  ne  le  lī
dam-e-āḳhir  but-e-bedard  kā  dāman  chhūTā
mere  hāthoñ  se  baḌī  chiiz  ḳhudā  ne  le  lī
chal  basī  jaan  to  is  baat  kā  ġham  kyā  'muztar'
ik  amānat  thī  ḳhudā  kī  so  ḳhudā  ne  le  lī