ham  umr  ke  saath  haiñ  safar  meñ
baiThe  hue  jā  rahe  haiñ  ghar  meñ
ham  luT  ga.e  terī  rahguzar  meñ
ye  ek  huī  hai  umr-bhar  meñ
ab  kaun  rahā  ki  jis  ko  dekhūñ
ik  tū  thā  so  aa  gayā  nazar  meñ
hasrat  ko  milā  hai  ḳhāna-e-dil
taqdīr  khulī  ġharīb  ghar  meñ
āñkheñ  na  churāo  dil  meñ  rah  kar
chorī  na  karo  ḳhudā  ke  ghar  meñ
ab  vasl  kī  raat  ho  chukī  ḳhatm
lo  chhup  raho  dāman-e-sahar  meñ
maiñ  aap  hī  un  se  boltā  huuñ
baiThā  huuñ  zabān-e-nāma-bar  meñ
'muztar'  karo  dil  hī  dil  meñ  shikve
rah  jā.egī  baat  ghar  kī  ghar  meñ