parda-e-dard  meñ  ārām  baTā  karte  haiñ
us  kī  dargāh  meñ  in.aam  baTā  karte  haiñ
bāb-e-sāqī  pe  ilāhī  mirā  sūraj  Duube
shaam  hote  hī  jahāñ  jaam  baTā  karte  haiñ
us  ke  dar  par  mujhe  ai  gardish-e-qismat  le  chal
sab  nikammoñ  ko  jahāñ  kaam  baTā  karte  haiñ
pyaas  meñ  dīda-e-darvesh  ne  ta.alīm  ye  dī
mai-kade  jaao  jahāñ  jaam  baTā  karte  haiñ
dil-e-muztar  ko  tasallī  vahī  degā  'muztar'
jis  kī  dargāh  meñ  ārām  baTā  karte  haiñ