kaise  dil  lagtā  haram  meñ  daur-e-paimāna  na  thā
is  liye  phir  aa.e  ka.abe  se  ki  mai-ḳhāna  na  thā
tum  ne  dekhī  hī  nahīñ  taqdīr  kī  tārīkiyāñ
ik  añdherī  gor  thī  furqat  meñ  kāshāna  na  thā
majma-e-bait-ul-haram  kī  dhuum  sunte  the  magar
jā  ke  jab  dekhā  to  un  meñ  koī  farzāna  na  thā
hashr  meñ  us  shoḳh  kā  tarz-e-taġhāful  dekhnā
mujh  ko  pahchānā  nahīñ  hālāñki  begāna  na  thā
hashr  meñ  āḳhir  use  bhī  chhoḌte  hī  ban  paḌī
ḳhāna-e-madfan  bhī  goyā  apnā  kāshāna  na  thā
aisī  kyā  biitī  ki  'muztar'  un  butoñ  par  mar  miTā
jaan  de  detā  vo  kuchh  aisā  to  dīvāna  na  thā